Tuesday, December 28, 2010

Lakshya ko har haal mei pana hai

Badhe chalo aage badhe Chalo,
Lakshya ko har haal mei pana hai..
Bahut dur hai manzil abhi,
Chand se aage sitaro mei jana hai..

Kya hua jo tum aise ruke ho,
Kis cheej se tum aise dare ho..
Nidarr hokar tujhe aage badhna hai..
Lakshya ko har haal mei pana hai..

Humme khud apni rah banani hai,
Rukawate khud hi dur hatani hai..
Pathar se bhi mom banta hai,
Bas tujhe thodi himmat dikhani hai..

Rukne se nahi milega rasta,
Dhundne se milega rasta..
Toh badh aur dhudh idhar udhar,
Yahi pass mei hi milega tujhe rasta..

Koi nahi karega teri madad,
Tu khud hi karega khud ki madad..
Kamyabi nahi hai tujhse dur,
Bas sahas se aage badhe chalo..

Janam din mubarak ho baiji

Janam din mubarak ho baiji...


Kaise kahu kuch samajh nahi aa raha,
Hafte se bas yahi hai sochta jaa raha..
Kya kahu kya naa kahu kuch samajh nahi aa raha,
Aur waqt hai ki hathon se nikla jaa raha..

Gyan, Darshan, Charitra se saja ho jiska jeevan,
Prem, Mamta, Aastha se bhara ho jiska mann..
Jiske Saurabh se mahakta hai pura ghar,
Sab ki khushi mei hai jo hardam tatpar..

Apni harqaton se jo sab ko hasaye,
Yaad se jo apni sab ko rulaye..
Shraddha hai sab ko unke vicharo par,
Hum sab ki kamyabi ki yeh bhi hai ek Shreya..

Seedhi hai vo vyavaharo mei aise,
Kheech di ho prabhu ne koi rekha jaise..
Tareef mei kya kahu inki,
Har aada najuk kali si hai jinki..

Surendra Narendra ki hai vo Ladli,
Babu ko bhi hai vo bahut pyari..
Gaurav toh bas itna kehta hai ji,
Hazaaron saal jiyo aap Baiji..

Baar baar aati hai mujhko

Baar baar aati hai mujhko
Madhur yaad bachpan teri
Gaya legaya tu jeevan ki
Sabse mast khushi meri

Chinta rahit khelana khaana
Woh phirana nirbhaya swachchanda
Kaise bhoola jaa sakta hai
Bachpan ka atulit aanand

Oonch neech ka gyan nahi tha
Chua achchoot kisne jaani
Bani hui thi waah jhopadi
Aur cheethadon me raani

Kiye doodh ke kulle maine
Choos angutha sudha peeya
Kilakaari killola machaakar
Soona ghar aabaad kiya

Rona aur machal jaana bhi
Kya aanand dikhaate the
Bade bade moti se aansoo
Jayamaala pehenaate the

Main roi maa kaam chchod kar
Aai mujhko utha liya
Jhaad poch kar choom choom
Geele gaalon ko sukha diya

Dada ne chanda dikhalaya
Netra neerayut damak uthe
Dhuli hui muskaan dekh kar
Sabke chehere chamak uthe

Woh sukh ka saamrajya chchod kar
Main matawali badi hui
Luti hui, kuch thagi hui si
Daud dwar par khadi hui

Laajbhari Aankhein umanga
Mere mann me rangeeli thi
Taan raseela tha kaano me
Chanchal chail Chabeeli thi

Dil me ek chubhan se thi
Yeh duniya albeli thi
Mann me ek paheli thi
Main sabke beech akeli thi

Mila, khojati thi jisko
He bachpan thaga diya tune
Arre jawani ki phande me
Mujhko phasa diya tune

Sab galiyan uski bhi dekhi
Uski khushiyan nyaari hai
Pyaari preetam ki rang raliyon
Ki smrutiyan bhi pyaari thi

Maana maine yuva kaal ka
Jeevan khoob niraala hai
Aakanksha, purushaarth, gyaan ka
Hrudaya mohanewala hai

Kintu yahi jhanjhat hai bhaari
Yudhdha kshetra sansaar bana
Chinta ke chakkar me padkar
Jeevan bhi hai bhaar bana

Aaja bachpan ek baar phir
De de apni nirmal shaanti
Vyaakul Vyatha mitaanewali
Woh apni praakrut vishranti

Woh bholi si madhur saralata
Woh pyara jeevan nishpaap
Kya aakar phir mita sakega
Tu mere mann ka santaap

Main bachpan ko bhula rahi thi
Bol uthi bitiya meri
Nandanavan si phool uthi yeh
Choti si kutiya meri

Maa woh keh kar bula rahi thi
Mitti kha kar aayi thi
Kuch muh me, kuch liye haath me
Mujhe khilaane laayi thi

Pulak rahe the ang, Drugon me
Koutoohal tha chalak raha
Muh par thi aahlaad laalima
Vijay garv tha jhalak raha

Maine poocha 'Yeh kya laayi'?
Bol uthi woh 'Maa Kaawo'
Hua prafullit hrudaya khushi se
Maine kaha 'Tumhi Khaawo'

Paaya maine bachpan phir se
Bachpan beti ban aaya
Uski manjul moorti dekh kar
Mujhme nav jeevan aaya

Main bhi uske saath khelati
khaati hoon, tutalaati hoon
Milkar uske saath swayam main
Bhi bachchi ban jaati hoon

Jise khojati thi barson se
Ab jaaka r usko paaya
Bhaag gaya tha mujhe chchod kar
Woh bachpan phir se aaya

Meri kahani

हम पंछी उन्मुक्त गगन के
पिंजरबद्ध न गा पाऍंगे
कनक-तीलियों से टकराकर
पुलकित पंख टूट जाऍंगे ।

हम बहता जल पीनेवाले
मर जाऍंगे भूखे-प्यासे
कहीं भली है कटुक निबोरी
कनक-कटोरी की मैदा से ।

स्वर्ण-श्रृंखला के बंधन में
अपनी गति, उड़ान सब भूले
बस सपनों में देख रहे हैं
तरू की फुनगी पर के झूले ।

ऐसे थे अरमान कि उड़ते
नील गगन की सीमा पाने
लाल किरण-सी चोंच खोल
चुगते तारक-अनार के दाने ।

होती सीमाहीन क्षितिज से
इन पंखों की होड़ा-होड़ी
या तो क्षितिज मिलन बन जाता
या तनती सॉंसों की डोरी ।

नीड़ न दो, चाहे टहनी का
आश्रय छिन्न-भिन्न कर डालो
लेकिन पंख दिए हैं तो
आकुल उड़ान में विघ्न न डालो ।

Monday, December 20, 2010

Kabhi Kabhi mere dil mei...

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.

Saturday, November 13, 2010

Gajab Din

Aaj phir vo gajab din aaya hai,
Mere Apno ne hi mujhe rulaya hai..
Har taraf roshni hi roshni hai,
Phir mere mann mei kyun itna andhera hai??

Har taraf khushi ka mahool hai,
Mere dil mei phir kyun itna gam hai?
Sab ke hothon par muskan hai,
Mere chehre par phir kyun udaasi hai?

Sab ka kehna hai aaj Ram,
Vanwaas pura kar wapas aaye the..
Mujhe bhi ghar jana hai,
Kab pura hoga mera vanwaas??

Har taraf shor hi shor hai,
Par mujhe kuch kyun sunayi nahi de raha??
Sab kuch naa kuch karne mei lage hai,
Phir mere pass kuch kyun nahi hai karne ko??

Wednesday, October 13, 2010

Meri Chahat-2

Do check it out this as well...


Aaj phir vo mujhe wahi dikhayi di,
Uski payal ki wahi jhankar sunayi di…
Ek pal ke liye mei ateet mei chala gaya,
Aur uske isharo par nachane lag gaya..

Vo rang birangi chudiya uske haath mei,
Vo laal dupatta udta hua hawa mei..
Ek adaa si hai uski har baat mei,
Kyun hota hai uska bhai hardum saath mei??

Ek halki si muskan uske hoothon par,
Sone nahi deti jagati hai mujhe raat bhar..
Pal bhar bhi nahi bhul pata usse,
Koi batao milegi vo mujhe kaise??

Har haal mei usse pana hai,
Tabhi ab mujhe aana hai..
Judaa hokar naa jee payenge,
Usko pakar bhi khushi se maar jayenge..

Meri Chahat

After Chahat here is my Chahat composed in lunch break during office hours.. Do give your comments..


Aaj phir vo dikhai di aise,
Dil mei hui ek halchal jaise..
Bhula diya tha jisse maine,
Yaad dila usse phir kisne..

Vo aankhen aaj phir yaad aa rahi hai,
Vo samne se bar baar guzar rahi hai..
Vo khushboo badan ki mehsoos ho rahi hai,
Uski yaad mei meri aankhen ro rahi hai..

Chandni mei nahati hai jo,
Mujhe bahut tadpati hai vo..
Basti hai mere dil mei jo,
Phoolon se bhi najuk hai vo..

Jadoo tha uski nazar mei,
Din dhalta tha uski zulfon mei..
Ek nasha tha uski aawaz mei,
Roz milti thi vo Khwabon mei..

Aaj phir vo dikhai di aise,
Kaun thi vo ladki waise??

Chahat

After long time I am back here posting a poem this time by my sweet sister Shraddha... Hope you enjoy every bit of it..


Har chahat puri ho jaye
Har manjil hasil ho jaye
Par kuch khona na pade
aur koi khushi na ruth jaye......

jindagi aur aage badhti jaye
lekin kisi ka dil na tut jaye.....

Har galti ek nai seekh ban jaye
Lekin wahi galti dubara na ho jaye.....

Har koi apni jindagi se khush ho jaye
lekin dusro ki khushi na cheen jaye

Har chahat puri ho jaye
Aur ye faltu poem apko pasand aa jaye



Sirf apkie liye likha hai ..... But sab bakwas h ....
saaaaaaaaaaaamjh na aaye to koi bat nai sab bakwaas hai...

Saturday, September 25, 2010

Birthday Gift to Myself

So raha tha mei besudh roz ki tarah,
Bajji hogi ghaddi mei shayad barah..
Tabhi baj uthi mere phone ki ghanti,
Aur meri sapno bhari neend tooti..

Ek ghante tak uske baad phone vyast raha,
Aankhon se neend gayab ho gayi na jaane kahan..
Sab ke maan mei thi ek muraad,
Jaldi se de mujhe janadin ki mubarakbaad..

Ek ghante baad jab mei hua tha khali,
Maine apne ab tak ke jeewan par ek nazar dalli..
22 Saal pehle mei is dharti par aaya,
Tab se aaj tak bahut kuch maine khoya aur paya..

Khud ka kamiyab samjhu ya nakamiyab,
Khud ko aabad samjhu ya barbaad..
Khoya hua naa jaane kin khayalo mei,
Phasta jaa raha tha mei apne hi sawalon mei..

Apno se milo dur baitha hu,
Phir bhi mei khud ko khush kehta hu..
Hothon par hardum muskurahat rehti hai,
Par dil mei dard ki ek kasak si chubhti hai..

Kabhi kabhi mei yeh sochta hu,
Khud hi khud se sawal poochta hu..
Chotta tha toh jyada achcha tha,
School jaane ka maja hi kuch aur tha..

Bade ho kar kya mila hai,
Bas subah se sham ka office mila hai..
Sochte sochte mei so gaya,
Aur naa jaane kab mei itna likh gaya..

Vo Rakhi

Subah subah kisi ne darwaze par dastak di,
Bahar dekha toh koi kuch batne aaya tha..
Ek bhikari dar par humme dua dene,
Aur humse kuch khane ko lene aaya tha..

Uske jaane par humne ghaddi dekhi,
Toh chotta kata 11 par aur bada kata 5 par tha..
Ek week day par itni der tak bistar mei,
Khud par bada hairan mei shishe ke samne kha tha..

Khud ko dhoonde laga mei us shishe mei,
Sab kuch dhundla sa ho gaya tha..
Us din toh office ki chutti thi kyunki,
Us din toh rakhi ka tyuhaar tha..

Mei hamesha ki tarah jaldi se tiyaar hone laga,
Fatafat apne sab kaam karne laga…
Sab kaam karke jab mei free hua,
Toh mera mann kisi ko dhundne laga..

Sab kuch ab mujhe ussi kanch mei,
Saf saf dikhne laga tha..
Sab kuch hote hue bhi Kuch mere haathon se,
naa jaane kahan kho gaya tha..

22 Saal mei pehli baar aisa tha,
Rakhi ke din mei akela tha..
Envelope mei rakhiyan padi thi,
Par badhne wala koi nahi tha..

Kuch samajh nahi aa raha kya ho raha tha,
Sab kuch bas tham sa gaya tha..
Yeh khwab tha ya haqeeqat pata nahi,
Par mann kiya toh yeh mei aise likh raha tha..

Happy B'day Bad Gal


Hey Bad Gal,
Happy B’day dost!!!
Enjoying your first birthday away from mom and dad?? Must be missing everyone… Right??? Especially me!!!
A smallest of B’day gift which you asked for .

When the clock struck at midnight,
My mobile started ringing..
Disturbing me in a sweet dream,
I picked the mobile in hand with eyes still half closed..

When I checked for who was disturbing ,
It was someone's birthday alert..
Not much effort was required to recall,
who invaded my life on 29th July..

It was you as long as I can recall,
God gave me a angel to play with that day..
A sweet LITTLE girl with a aura of her own,
Became a part of my life ever since then..

I made you cry, I made you laugh,
But what you gave me was always happiness..
A patient listener and a Strong Critic,
And a nice friend I found all in you..

Trust , Faith , Confidence aren't enough,
I also have SHRADDHA in you.
I believe in all your abilites,
Sky is what you will be touching one day..

A obidient daughter, strict Elder sister,
Lovable grand daughter, a Jolly Friend..
Morever a sweet little Sister,
How could you fit every role that easily??

Will Never Forget the time I spend with,
Showering the rain at midnight..
Showing you magic all day and night,
Fighting with you for the last bite of the meal..

All I pray to God is may you live longest of longest life,
Spread your glory all around as CHANDA does in night..
Recieve every bit of success in life you want to achieve,
But never forget me BAD GIRL anytime in life...
Miss u a lot ..

Saturday, June 26, 2010

Kartavyah Nirvah

Bojh Ummeedon ka nahi kartvyon ka hai,
Vo kartvya jinko pura karke sabke,
kandhe hi nahi mastak bhi garv se uth jayenge,
Jis din hum is baat ko samajh jayenge,
Jeevan mei har lamhe mei khushi payenge.

Phansa toh Abhimanyu bhi tha ChakraVyuh mei,
Chahta toh bhag sakta tha sabko chod kar,
par karna tha usse apne kartvya ko pura,
Puri karni thi usse sabki aashayen,
Phir chahe usse apna jeevan hi kyun naa dena pada ho.

Ek fauji garam ret ki chadar hi nahi odhta hai,
barfile toofan , Dushman ke hamle khushi se jhelta hai,
Marna kisse achcha lagta hai,
par kartyah nirvahan toh vo bhi karta hai,
Bhagta hai toh gaddar bol diya jata hai.

Tarasta hoon mei aaj kisi ki muskurahton ke liye,
Par jyada tarasta hai vo meri muskurahaton ke liye,
Karamveer bankar karam kiye jaa rahe ek doosre ki khushi ke liye,
Aaj jaan gaya hoon mei kya hai khushi aur kya gam,
Kartvyah ka palan karna hai aakhiri sans tak yahi hai kasam.