Saturday, September 25, 2010

Birthday Gift to Myself

So raha tha mei besudh roz ki tarah,
Bajji hogi ghaddi mei shayad barah..
Tabhi baj uthi mere phone ki ghanti,
Aur meri sapno bhari neend tooti..

Ek ghante tak uske baad phone vyast raha,
Aankhon se neend gayab ho gayi na jaane kahan..
Sab ke maan mei thi ek muraad,
Jaldi se de mujhe janadin ki mubarakbaad..

Ek ghante baad jab mei hua tha khali,
Maine apne ab tak ke jeewan par ek nazar dalli..
22 Saal pehle mei is dharti par aaya,
Tab se aaj tak bahut kuch maine khoya aur paya..

Khud ka kamiyab samjhu ya nakamiyab,
Khud ko aabad samjhu ya barbaad..
Khoya hua naa jaane kin khayalo mei,
Phasta jaa raha tha mei apne hi sawalon mei..

Apno se milo dur baitha hu,
Phir bhi mei khud ko khush kehta hu..
Hothon par hardum muskurahat rehti hai,
Par dil mei dard ki ek kasak si chubhti hai..

Kabhi kabhi mei yeh sochta hu,
Khud hi khud se sawal poochta hu..
Chotta tha toh jyada achcha tha,
School jaane ka maja hi kuch aur tha..

Bade ho kar kya mila hai,
Bas subah se sham ka office mila hai..
Sochte sochte mei so gaya,
Aur naa jaane kab mei itna likh gaya..

No comments: