Saturday, June 26, 2010

Kartavyah Nirvah

Bojh Ummeedon ka nahi kartvyon ka hai,
Vo kartvya jinko pura karke sabke,
kandhe hi nahi mastak bhi garv se uth jayenge,
Jis din hum is baat ko samajh jayenge,
Jeevan mei har lamhe mei khushi payenge.

Phansa toh Abhimanyu bhi tha ChakraVyuh mei,
Chahta toh bhag sakta tha sabko chod kar,
par karna tha usse apne kartvya ko pura,
Puri karni thi usse sabki aashayen,
Phir chahe usse apna jeevan hi kyun naa dena pada ho.

Ek fauji garam ret ki chadar hi nahi odhta hai,
barfile toofan , Dushman ke hamle khushi se jhelta hai,
Marna kisse achcha lagta hai,
par kartyah nirvahan toh vo bhi karta hai,
Bhagta hai toh gaddar bol diya jata hai.

Tarasta hoon mei aaj kisi ki muskurahton ke liye,
Par jyada tarasta hai vo meri muskurahaton ke liye,
Karamveer bankar karam kiye jaa rahe ek doosre ki khushi ke liye,
Aaj jaan gaya hoon mei kya hai khushi aur kya gam,
Kartvyah ka palan karna hai aakhiri sans tak yahi hai kasam.