Sunday, July 17, 2011

Ek Sunhara Ehsaas

My mind has too much of thoughts to express these days. Today I picked up something which we all feel someday sometime. I don't know how to express in words but still just a small attempt.


Vo kya ehsaas tha koi mujhe bata do,
Us ek pal ko phir se zindagi mei la do..
Chod gaya jo zindagi bhar ki yaadein,
Usse meri zindagi ki kahani hi bana do....

Vo har baat par ruthna manana kya cheez thi,
Uski jeet ke liye khud ki haar bhi ajeej thi..
Har baat jiski achchi aur pyari lagti thi,
Vo toh pani mei chalti aur hawa mei udti thi....

Jiske saath samay ka pata nahi chalta,
Ab usse mile bina din nahi dhalta..
Khwabon mei jo mujhe sone naa de,
Koi usse meri dil ki baat toh kah de....


All this sounds of too much of desperation but still I thought of sharing it. Many of you may not be surprised because you know the source of these words. Shall see you next time with some other genre.

4 comments:

CA.Anjali Jain said...

Hmm..I have gone through the poem...ye kiske liye likhi hai Gaurav :)
Agar thoda sa modify karta to tu Garima ke liye ek bahut achchi poem bana sakta tha, akhir vo ahsaas bhi to ahesaas hai :)

Btw, Nice thoughts, nice composition..I liked the second paragraph most...first two lines are really very good...but i feel you can add few more paragraphs to the poem...it will look good and will be attractive....
Overall, nice attempt buddy....

CA.Anjali Jain said...

One more suggestion, write hindi poems in hindi only, they will be more effective and attractive...use google convertor or Gmail.

gaurav jain said...

Thnku didi!!!
Finally kisi ne comment toh diya..

Hindi mei naa didi sab browser parnahi dikhta isliye nahi likhta.. :(

ronak said...

Har baat jiski achchi aur pyari lagti thi

bhaiya ye lines indicate kar rahi hai ki you are in love but with whom rally i don't know...

ye problem din-b-din badi hoti ja rahi hai...

pajhle shadii ki bate chedna...phir poem likhna..phir voting me jitna se sab bate isi ki aur ishara kar rahi hai....

please bhaiya share ur problem with us...............












so we can talk to big papa