Tuesday, January 25, 2011

Aana Jana

Chand jab aasman mei aata hai,
Toh suraj naa jaane kahan chala jata hai..
Suraj jab aasman mei aata hai,
Toh taare naa jaane kahan chale jaate hai..

Taare jab aasman mei aate hai,
Toh Badal na jaane kahan chale jaate hai..
Badal jab aasman me iaate hai,
Toh chand naa jaane kahan chala jata hai..

Sukh aata hai toh dukh jata hai,
Khushi aati hai toh gam jata hai..
Aankh khuli aur neend gayi,
Sab ki bas yaadein reh gayi..

Yeh sab aane jaane ka hi chakar hai,
Koi aata hai toh koi chala jata hai..
Har aane wala ek din aata hai,
Aur sab chod kar ek din chala jata hai..

Naa kuch koi saath lekar aaya tha,
Na kuch koi saath lekar jayega..
Sab yahi aane ke baad mila tha,
Aur sab yahi choot jayega..

Phir kyun hum ek doosre se ladte hai,
Har chotti baat ko dil se lagate hai..
Aao hum chod kar jaye aisa kuch,
Picche se yaad kare humme dekh jisse sab..