Wednesday, June 27, 2012

Kaise bharu???

Yeh kya ho gaya mujhe phir se,
Kab kyun kahan aur kaise??
Nahi hona tha yeh phir se,
Phir kyun ho gaya yeh aise??

Baar baar kyun hota hai yeh,
Pareshan kyun karte hai aise??
Ab kya karu aur kaise karu,
Sab ki jeb mei ab kaise bharu??

Saturday, June 23, 2012

Abhi Nahi Toh Phir Kabhi Nahi


Dil deemag phir bagawat karne lage hai,
Dono phir naye naye khwab bunane lage hai..
Phir se naya josh aa gaya hai jeewan mei,
Ek maksad jagah babane laga hai mann mei..

Sab kuch ho raha hai bahut jaldi jaldi,
Is baar nahi karni hai koi galti..
Uthana hai har kadam dhyan se,
Dur nahi hai ab manjil haath se..

Karne hai ab ek sab din aur raatein,
Karni hai is baar asmaan se baatein..
Nahi milega yeh chance phir se,
Chala gaya yeh jo haath se..

Sunday, May 6, 2012

Kyun aati hai tu Yaad?

Zindagi se tu chali gayi, 
Phir khwab se kyu jati nahi? 
Dil se tu chali gayi, 
Phir yaad se kyun jati nahi? 
Bheed mei bhi tanha ho jata hu, 
Jab tujhe apne pass nahi pata hu. 
Naa bhulate banta hai naa bulate, 
Gunj rahi kano mei aaj bhi teri baatein.. 
Ab aur saha nahi jata yeh sab, 
Raasta koi mujhe dikhaye rab.

Wednesday, March 7, 2012

Chod do mujhe Duniya walo

Paisa, kaisa kaisa, paisa
Saari kushi paisa
Saara jahaan chaahe ye paisa, haan haan ye paisa

These lyrics from a song in movie apna sapna money money often make me wonder what is world all about. A baby from the moment he starts to speak is forced/pressurized by his parents to work hard. Sometimes to look different in the crowd, sometimes to score good marks, sometimes to show others down. But the story is same in all cases. All this is done for money.

Meri kahani bhi ajeeb hai,
Naa koi lakshya na manjil hai..
Bas bahe jaa rahu hu sabke saath,
Pakad ke doosro ka haath..

Pretty much same is my story. Someone wants me to change my workplace, someone wants me to study more, someone wants me to work hard more. But what all for? To earn more. As simple as it gets. But why? To spend more or to save more? All this for the materialistic selfish world. I don’t understand why should I do all this.

Itni Khushi hone par bhi dukhi hai,
Duniya ne teri haalat kya kar di hai..
Kaash samajh pata is baat ko koi,
Nahi khush rehta pakar paisa koi..

What fail to understand more is why is everyone so worried about what will happen in future? All are busy in spoiling their present by every second thinking about the future. When you are not sure of what will happen in next one second why to bother about next year or two.

These two things make me afraid so much at times that I try to run away from in world in hibernation. But with this globalized world with a new concept of whole world single home, I am not able to pursue that as well.. I don’t know what was in the mind of Martin Cooper when he invented mobile phones. Perhaps looking at the world’s situation he might himself be mourning the moment he made this discovery.

I need space please. When no one is there to bother/talk or days and days and I am alone on my own without bothering about the world. I want to live with myself.

Thursday, January 26, 2012

Teri kimat

Har pal choti ho rahi zindagi,
Kab tak soyega Ab Toh jag re..
Khushi khushi jee le har pal,
Pata nahi kab gam aaye re..

Do pal ki chotti si zindagi hai,
Saath saath ghumna phirna hai..
Phir pata naa tera naa mera hai,
Aaye hai sab kabhi toh jana hai..

Kya ladna jhagadna aapas mei,
Milkar rahe sab pyar se saath mei..
Jante hue bhi ek doosre ko,
Kyun rehte hai hum anjaan se?

Barsa barsa har taraf khushi barsa,
Na rahe phir gam kisi ke pass..
Har taraf ho bas hassi hi hassi,
Soch dukh bina hogi duniya kaisi..

Jism se judi hai jaise teri ruh,
Sabke dil se jud waise hi tuh..
Sab ko seekha jaa tu jina,
Reh naa paye koi phir tere bina..

Tu aur meri Zindagi

Dur reh kar bhi tu kareeb hai,
Bin tere ameer bhi gareeb hai.
Sabko bas ek teri hi chahat hai,
Mil jaye tu toh rahat hi rahat hai..

Bhaag rahi hai duniya tere peeche,
Kaisi maya teri jo sab aaye kheeche.
Khilta hi tujhse har chaman hai,
Karte tujhe sab kar jod naman hai..

Har pal sabko bas tera hi dhyan hai,
Bin tere saara jahan bejaan hai..
Tujhse hi duniya hamari khushal hai,
Bin tere toh yeh bhi barbaad hai..

Tujhse hi sansein hamari judi hai,
Bin tere dhoop bhi andhakar hai..
Pane ka tujhko har pal jatan hai,
Bin tere lagta nahi ab mann hai..

Jud gaya tujhse kaisa nata hai,
Bin tere jiya mujhse nahi jata hai..
Teri khushi hi ab meri khushi hai,
Bin tere duniya mujhse Ruthi hai..

Pana aur Khona

Kuch pana hai toh kuch khona hai,
Is kamini zindagi bas yahi ek rona hai.
Har koi is dil ko tod deta hai,
Mano dil mera mati ka khilona hai..

Dil hai mera par preet parayi hai,
Dil ki deemag se yahi ladayi hai.
Dil toh bas dhoka hi pata hai,
Aur phas bechara Deemag jata hai..

Kiski sunne aur kiski nahi,
Yeh baat samajh mujhe aati nahi.
Dil kahin ab lagta hai nahi,
Aur deemag ki batti bhi aajkal jalti nahi..

Yaad uski dil se jati nahi,
Deemag use apna manta nahi.
Dil karta hai janu ka bar bar wahi,
Aur Deemag bolta hai jaa doob mar kahin..

Naa jaane kya bala hai yeh,
Mil jaye toh Madhubala hai yeh..
Nahi toh phir MadhuShala hai yeh,
Bachke raho yaaron laillaj bimari hai yeh..