Friday, October 11, 2013

Naa Jaane Kab???

Dekhta hu mei khwab yahi,
Waqt aayega phir kab wahi..
Dur ghane ped ke ki chaav mei,
Jeevan ki is tedhi rah mei..

Sochta hu kahan jaa raha hu mei,
Akele hi jaane kahan jaa raha hu mei..
Naa koi aage hai naa koi peeche hai,
Badh raha har kadam bas akele hai..

Aaye the akele aur jayenge akele,
Koi nai gaya yahan se pehle kabhi..
Banate hue apna raasta khud,
Badh raha hu aage har pal..

Bichad gaye jo sab picche tab,
Ab milenge mujhe phir kab??
Dekhta hu mei khwab yahi,
Waqt aayega phir kab wahi..

A tribute to NoBody

Naa jaane kyun aaj mujhe phir kuch hua hai,
Bade dino baad kuch likhne ka man hua hai..
Badi ajeeb hai yeh duniya aur uski kahani,
Kabhi mile halwa toh kabhi naa mile pani..

Duniya yeh bada uljha hua sawaal hai,
Naa jaane kya iska sahi jawab hai..
Bhejna jisse chahte hai wo jaata nahi,
Aur koi naa chahte hue bhi ja raha hai..

Koi naa jaana naa pehchchna hota hai,
To bhi sab ko khushi de jata hai..
Aur koi har pal dil ke pass hota hai,
Tab bhi kabhi kabhi dukh de jaata hai..

Kuch aisa hi tha wo jo jaa raha hai,
Sabko asmanjas mei chode jaa raha hai..
Par chalna hi zindagi ka naam hai,
Aage badhna hi hamara kaam hai..

Kya kya seekha gaya hai wo kaise batau,
Jeewan jiska khuli kitaab usse kya samjhau..
Jagah uski shayad hi koi kabhi le payega,

Gungan uska aane wala samay gayega..